Faiz Ahmed Faiz Urdu Ghazal || Urdu Poetry Pics And Images
آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے
Poet: Faiz Ahmed Faiz
By: Faisal Latif
آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے
اس کے بعد آئے جو عذاب آئے
بام مینا سے ماہتاب اترے
دست ساقی میں آفتاب آئے
ہر رگ خوں میں پھر چراغاں ہو
سامنے پھر وہ بے نقاب آئے
عمر کے ہر ورق پہ دل کی نظر
تیری مہر و وفا کے باب آئے
کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے
نہ گئی تیرے غم کی سرداری
دل میں یوں روز انقلاب آئے
جل اٹھے بزم غیر کے در و بام
جب بھی ہم خانماں خراب آئے
اس طرح اپنی خامشی گونجی
گویا ہر سمت سے جواب آئے
فیضؔ تھی راہ سر بسر منزل
ہم جہاں پہنچے کامیاب آئے
فیض احمد فیض
Aaye Kuch Abr Kuch Sharaab Aaye
Is Ke Baad Aaye Jo Azaab Aaye
baam Meena Se Mahtab Utre
Dast Saqi Mein Aftaab Aaye
Har Rigg Khoo Mein Phir Cheraghan Ho
Samnay Phir Woh Be Naqaab Aaye
Umar Ke Har Waraq Pay Dil Ki Nazar
Teri Mohar o Wafa Ke Baab Aaye
Kar Raha Tha Gham Jahan Ka Hisaab
Aaj Tum Yaad Be Hisaab Aaye
Nah Gayi Tairay Gham Ki Sardari
Dil Mein Yun Roz Inqilab Aaye
Jal Utthay Bazm Ghair Ke Dar o Baam
Jan Bhi Hum Khaanamaan Kharab Aaye
Is Terhan Apni Khamshi Gungi
Goya Har Simt Se Jawab Aaye
Faiz Thi Raah Sir Busr Manzil
Hum Jahan Puhanche Kamyaab Aaye
Faiz Ahmed Faiz
0 Comments